Headline 24.06.09
Rakshak bne Bhakshak :
Postmortem :
Jab rakshak bne bhakshak, sarkar ho bekar,
afsar khaye ghoos, aur neta ho manhoos,
to janta kahan mrey..........
Jab mehngai ki ho maar, mcha ho ha-hakaar,
padhe likho ke sar pe, jab anpadh ho swar,
to janta kahan mrey..........
Na bijli hai na pani, kehlati fir bhi rajdhani,
neta karein manmani, mano desh bechne ki ho thani,
to janta kahan mrey..........
Daal me kankar, dudh me zehar, dva bhi ho zehrili,
lagta hai jese baimani inhe, virasat me ho mili,
to janta kahan mrey..........
Police bajaye lathian, aur chor machaye shore,
bharashtachar ke agey, jab chale na koi zor,
to janta kahan mrey..........
Aaj dharam ke naam par, pakhandi bne avtar,
na mandiro ki chinta, na bhakto se sarokar,
to janta kahan mrey..........
Rishtey........
2 weeks ago

0 comments:
Post a Comment