Thursday, July 02, 2009

Gaal ka sach

Headline 02.07.09
Mene to sirf gaal ko chua tha : Jaganath
Postmortem :
Arey jaganath ji abhi to shukar manao
ki vo bank manager ek admi tha, aur agar
uski jagah koi aurat manager hoti to kya hota ?

Rail bajat

Headline 02.07.09
Rail bajat : Manviye hoga,
munafa bhi dega !
Postmortem :
Rail mantri mahodya ne sahi
kaha, rail bajat manviye bhi hoga
aur munafa bhi dega, manviye to
ye hoga aam janta ke liye, lekin
munafa to ye mantrio ko hi dega !

Sarkari neeteian

Headline 02.07.09
Ab jaldi band hongi dukane !
Postmortem :
Ji ha, bilkul sahi keh rahe hai aap,
jahan esi sarkari neeteian ho, na bijli
ho, na pani ho, suraksha vyavastha
ka ye hal ho ki admi subah ghar se
nikle aur use pata na ho ki sham ko
ghar wapis pahunch payega ya nahi,
aur jo kasar reh jaye vo tod fod karne
wale puri kar de to dukane to kya sab
kuch hi jaldi band ho jayega !